Aapke Deedar se khil utha hai ye dil ka gulshan
Aankho ke jharokhon ki galiyan hui phir se Roshan
Bus is ek pal ke ehsaas se mile jab humko itna huma
Dil kare ye khwahish, ki ban jao aap hamre Rehnuma
Naa jaane kab hui humme is Ulfat ki Ibtidaa
Aur na jaane hum ki kya hoga aage ka Irtiqaa
Bas leke chale hain khwahishon ka Kaus-e-Qaza
Aur ek Dil jo karta hai aapse Ishq Beintehaa
Hai ye aapki koi Adaa, ya huyi hai hamse koi Khata
Jo rehte ho app humse yun hamesha Khafa Khafa
Ab tak to maan ke chala tha ise Us Khuda ki Razaa
Par wafa ke intezar main sabr bhi ho gayi hai beintehaa
Khamoshiyon main bhi hoti hai aapse Guftugoo
Bheed main bhi rehti hai aapse milne ki Justujoo
Samjha nahi aapne hamare muhabbat ko, di nahi tawajjo
Warna aaj bhi ye nadaan dil rakhta hai bas aap hi ki Arzoo.
M just mentioning the closest English meaning of some of the words as d words generally have varied contextual meanings
Gulshan -- Garden of Flowers
Huma -- feeling blessed/lucky
Rehnuma -- Guide
Ulfat -- Affection
Ibtidaa -- Beginning
Irtiqa-- Progress
kaus-e-Qaza -- Rainbow
Beintehaa-- Limitless
Khata-- Mistake
Razaa -- wish
Sabr -- Patience
Guftugoo -- Conversation
Justujoo -- Desire
Tawajjo -- Importance
Arzoo -- Wish